Abbas-e-alamdar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x4
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Rakhi jo sare aab hai bunyaad wafaa ki
Is baat se karsakta nahi koyi bhi inkaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Hai ek siffat baab-e-hawaaij bhi tumhaari
Tu chahe to ruk jaaye abhi waqt ki raftaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Jab mashk chidi behgaya sine se tera khoon
Zainab ne kahaa maara gaya mera madadgaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Jab tak raha zindaa na chini bibi ki chadar
Baad aap ke dakhil huwe khaymo(n) me sitamghar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum ibne wali, ibne wali, ibne wali ho
Hai dushamne dee(n) ke liye bazu teri talwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho
Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Kehte the khuda de mujhe Abbas sa beta
Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
"Abbas" ke munkir ko jo talwaar lagenga
Wo mere madadgaar hai mai unka hu ghamkhwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2