Ya hassan
(Ya Hassan) x12
Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay
jaan-e-sayyeda
(Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
1.
Zeyr-e-halaa hal mila, tukre jigar hogaya
Teer sitam se huwa
surkh kafan aap ka
Aap ka tabut bhi
lot ke ghar aagaya
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
2.
Sulho ka andaaz jo sabz kabahi me tha
Amn ka har marhala
raah numayi may tha
Sabr aya(n) aap ka
sari khudayi me tha
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
3.
Seerato qamat me the aap shabi-e-nabi
Aap ali manzilat
aap ali azm bhi
Teghe kalam behr
me aap ke hatho(n) chali
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
4.
Khoon se lagan bhargaya kaysa sitam hogaya
Zowja-e badbakht
ne aap pe ki thi jafa
Gham se bura haal
tha zainabo kulsum ka
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
5.
Teero(n) ki barish huwi aap ke tabut par
Pehla janaza tha
jo lot ke aaya tha ghar
Karbobala ke liye
thi yahi pehli khabar
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
6.
Sara badan sabz tha zehr ki taseer se
Dard ye puchhe koi
hazrate shabbir se
Surkh tha ujla
kafan aap ka jab teer se
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
7.
Nana ke pehlu me bhi dafn na hone diya
Kayse sitamghar
the baniye zulmo jafa
Kayse laeeno ne ki
zulm ki ye inteha
Ay ruh-e-mustafa,
Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda
(Ya
hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x2
8.
Kya likhu(n) "rehan" ab gham se jigar chaakh he
Aaj ghamo ranj ki sar pe mere khaak hai
Shor bapa aaj ye barsare aflaak hai
Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay
jaan-e-sayyeda
(Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba) x4