Eik Chand Utarney Wala Hai audio file

Eik Chand Utarney Wala Hai

 

Abu Talib ki Dua, Fatema binte Asad ki tamanna

Wo Chaand Aj Utarne Wala hai

 

Fatema ki God Mei, Eik Chand Utarney Wala hai ! (X3)

 

1)    Wo Ali mushkil kusha, sara jahaan ka badshah

kardengua murdey jila, suraj bhi palta jaengua

kehta hai, Jibril mere ustad aney wala hai

 

Fatema ki God Mei, Eik Chand Utarney Wala hai ! (X3)

 

2)    Shah-e-Mardan, Sher-e-Yazdan, Quwat-e-Parwardigaar

Lafata Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar

Fatema binte Asad ka chand aney wala hai

 

Fatema ki God Mei, Eik Chand Utarney Wala hai ! (X3)

 

3)    Yeh Kahan « Rehan » tera wo ghor se « Sadik » suna

Zikr-e-Maula Karta jaa, Mehfil ko Alishan Banaa

Saqiye Kawsar Zameen pey Aaj aney wala hai

 

Fatema ki God Mei, Eik Chand Utarney Wala hai ! (X3)