Mera Paygham Suno
Mera
Payghaam suno (X4)
Ay Haideri
Maaon, Ay Haideri Maaon
Ay Haideri
Maaon, ( Mera Paygham Suno X2 )
Nasslon key
liyey, Karbala ki Raah Chuno
Ay Haideri
Maaon, ( Mera Paygham Suno x2 ) X2
1)
Godi mei sunao inhe karbal ki kahani
Ho jiske halalat sey lahu mei bhi rawani
Duniya ka batao inhe duniya to hai fani
Sadqa Hussain ka hai tumhari yeh jawani
Ay Haideri
Maaon, ( Mera Paygham Suno x2 ) X2
2)
Paas apey mussalley mei inhe dekho bithana
Quran ki tilawat bhi usse roz suna na
Naam-e-Hussain Leke inhe Pani Pilana
Aur Kehke Ya Ali inhe Godi mei Uthana
Ay Haideri
Maaon, ( Mera Paygham Suno x2 ) X2
3)
Majilss ki jo tazeem hai wo inko batana
Mimbar ka ehteram bhi bachpan se sikhana
Alim ki jo izzat hai inhe karkey dikhana
Taqleed mujtahid ki inhe khud hi karana
Ay Haideri
Maaon, ( Mera Paygham Suno x2 ) X2