DER TAK
Der
tak tum azaa dena akbar – akhiri hai azaa tumhari,
Bola
shabbir (a.s.) ka dil
tadapkar - akhiri hai azaa tumhari
1. Jab suna allaho akbar, kheme
me ro padi maan tadapkar,
Karti
hai jaan tum par nichawar - akhiri hai azaa tumhari
2. Subah ka waqt aya hai jab se,
tar musalla kiya aansuo ne,
Roya
laila (s.a.) ka dil haye dilbar - akhiri hai azaa tumhari
3. Fufiyaan, maan aur bali
sakina (s.a.), gham se dushwar hai sab ka jeena,
Dasht
me aey shabeeh-e-payambar (a.s.) - akhiri hai azaa tumhari
4. Maan ke dil me hai kab se
tamanna, haye afsos sehra na dekha,
Phool,
kaliyaan hui haye paththar - akhiri hai azaa tumhari
5. Janibe jang jab ho rawana,
mujhko mud-mud k tum dekhe jana,
Ro
ke kahte the akbar (a.s.) se
sarwar (a.s.) - akhiri hai azaa tumhari
6. Jayengi ye sadaye watan tak,
ud ke pahochengi choti bahan tak,
Kaise
janegi beemar khahar - akhiri hai azaa tumhari
7. Aey shuja ab dua shah se
mango, karbala jald mujhko bula do,
Mai padhu nauha rauze me akar - akhiri hai azaa tumhari.