MARTE DUM
Marte
dum jinko pani pilana na tha
Unko
ghar se munasib bulana na tha
1. Kyon na shah rote hare k se
mil kar gale,
Phir
palat kar madine me ana na tha
2. Jisse sajjad (a.s.) ka khoon
tapakta na ho,
Haye
aisa koi taziyana na tha
3. Saans bhi le na sajte the
ahle haram,
Qabr
zindon kit h qaidkhana na tha
4. Shamiyon kalmago jis payambar
(s.a.) ke ho,
Uske
ghar ka munasib jalana na tha
5. Zibha sayyad ko tashna dahan
kyon kiya,
Jurm
pyase ko pani pilana na tha
6. Laashe sarwar (a.s.) ko
sajjad (a.s.) dete kafan,
Is
qadar bhi muaafiq zaman na tha
7. Kaun ghurbat me shabbir
(a.s.) ko puchta,
Wo
rasool-e-khuda (s.a.) ka zaman na tha
8. Bano chillai asghar (a.s.) ka
sir dekhkar,
Tere
marne ka beta zamana na tha
9. Tu lahad se meri jaa nikala
gaya,
Tere
zere zamee bhi thikana na tha
10.
Dar ba dar koofiyon ne firaya jise,
Kya
rasool-e-khuda (s.a.) ka zamana na tha
11.
Qais ki gar shifaat na karte nabi (s.a.),
Juz
jahnnam phir uska thikana na tha.