Maqtal mei
(Maqtal me akbar ki tamanna) x2
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Sughra se madine aane ka turwa diya wada maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
phupiyo(n) se bhatije ko china kis-kis ko ujada maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Tasweere nabi ke siney par woh zakhm lagaya maqtal me
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Akbar ke lahoo ki dharo ne bandha hai jo sehara maqtal me
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Afsos hua hai ab rukhsat ankho ka ujala maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Hai pyas ki shiddat me ab to kuch aur izafa maqtal me
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Naizey ki ani me uljha hai akbar ka kaleja maqtal me
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Is kaam ki khatir naizey ne zinda hi na choda maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Aashoor ke din shah padte hai ro-roke ye noha maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Hai ek ka laasha sahil par aur ek ka laasha maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Ro-roke yahi farmati hain akbar ko hua kya maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me
Fidvi na tadap kar aa jaye khaime se sakina maqtal me,
Ki khoon sitam ke naizey ne akbar ki tamanna maqtal me-x3