Write-Up
(Karbal Se Shaam, Qaidi Wo) X2

(Yu(N) Karbala Se Abid-E-Beemar Chale Hai(N)) X2

1. Ik Zulm Ki Zanjeer Mai(N), Behno Ke Gale Hai(N)

(Yu(N) Karbala Se Abid-E-Beemar Chale Hai(N)) X2

2. Maqtal Mai(N) Chaarsu Ab Ik Hu Ka Hai Aalam

Na Ghazi Alamdar Na Akber Hai Na Qasim

(Nok-E-Sina Pe Ab Sabhi Naazo(N) Ke Pale Hai(N)) X2

Ik Zulm Ki Zanjeer Mai(N), Behno Ke Gale Hai(N)

(Yu(N) Karbala Se Abid-E-Beemar Chale Hai(N)) X2

3. Fil Qurba Ki Ayat Ki Ye Tafseer Hai Logo

Nok-E-Sina Pe Chadar-E-Tatheer Hai Logo

(Lash-E-Parhe Hain Her Taraf Aur Khaime Jale Hai(N)) X2

Ik Zulm Ki Zanjeer Mai(N), Behno Ke Gale Hai(N)

(Yu(N) Karbala Se Abid-E-Beemar Chale Hai(N)) X2

4. Zehra Ki Laadli Pe Yeh Kya Waqat Hai Aaya

Na Sar Pe Rida Aur Na Babul Ka Hai Saaya

(Aal-E-Abaa Pe Isterha Haaye Waqt Dhale Hai(N)) X2

Ik Zulm Ki Zanjeer Mai(N), Behno Ke Gale Hai(N)

(Yu(N) Karbala Se Abid-E-Beemar Chale Hai(N)) X2

5. Noha Kuna Zameen Hai Khoo(N) Roya Aasmaa(N)

Paband-E-Salasal Hai(N) Chale Meer-E-Karawa(N)

(Khoo(N) Ro Rahe Hai(N) Khaar Jo Paao(N) Ke Tale Hai(N)) X2

Ik Zulm Ki Zanjeer Mai(N), Behno Ke Gale Hai(N)

(Yu(N) Karbala Se Abid-E-Beemar Chale Hai(N)) X2

6. Panjetan Ke Dar Se Tujhko Qalam Ataa Hai

"Khursheed" Tujh Ko Saani-E-Zehra Ki Dua Hai

(Tere Sukhan Ke Phool Yeh Abhi Phool Phale Hai(N)) X2