Write-Up
Khuda hafiz Sakina
Baba aajaao x2 Yeh beti jo, tumhe pyaari hai
Aaj ki raat Sakina pe, bohot bhaari hai
1) Aable dukhtey hain hoti hai, chubhan khaaron ki
Barhti jaati hai azeeyat merey, rukhsaaron ki
Yehi haalat, ba Khuda hoti hai beemaaron ki
Aisa lagta hai, ke marne ki yeh tayyaari hai
2) Apni jaanib, jo bulaati hai yeh zindaa(n) ki zameen
Yeh kahin aap se milne ka ishaara to nahin
Jald aajaayein, na hojaaye bas ab der kahin
Aap ke seene pe sone ki, meri baari hai
3) Itna saabir hai mera bhaayi, ke har dukh sehke
Khoon ke aansu ba har haal, theher jaate the
Haan magar maanga gaya jab se, kaneezi mein mujhe
Bhaayi Sajjad ki, aankhon se lahu jaari hai
4) Shimr ke durron, ne kardi hai kamar meri nidhaal
Merey baalon ki safedi se, ayaan hai mera haal
Ab mujhe dekh ke kartey hain, sabhi log sawaal
Zard chehra hai, kya is bachi ko beemaari hai
5) Pyaar hai beti se kitna yeh, bataanaa hoga
Saath mein saare, shaheedon ko bhi laana hoga
Pehla pursa mera leney tumhe, aana hoga
Aaj zindaa(n) mein, Sakina ki azadaari hai
6) Sochti hoon ke kafan kaise, mera laayenge
Kis tarha laash ko bhaiyya meri, dafnaayenge
Qaidi haathon se, mujhe kaise uthaa paayenge
Kaisi yeh maalik o mukhtar, ki laachaari hai
7) Khaak par thakk ke jo bethi to, tamaachey khaaye
Haaye Abbas pukaari to, tamaachey khaaye
Aap ke naam pe royi to, tamaachey khaaye
Merey rukhsaaron pe tafseel, likhi saari hai
8) Baap ko beti sada deke, yeh boli Akbar
Kardiye baazu nisaar apne, chacha ne mujh par
Uthega unka alam mashk e, Sakina lekar
Wo wafa unki thi, yeh meri wafadaari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohot bhaari hai