Write-Up
Hai hamaari darsgaah, Karbala Karbala
Haq ka seegha raasta, Karbala Karbala
Chalo chalo, humein tumhein, pukaarti hai Karbala
Chaltey raho x2 saath liye saara zamaana
Aao chaley, Karbobala, ban ke safeeraan e azaa
Tum bhi chalo, hum bhi chalein x2 Saath ho Zehra ki dua
Aao chaley, Karbobala, ban ke safeeraan e azaa
1) Karbobala mein tumehin Quran milega
Fatima tuz Zahra ka faizaan milega
Tum ko har ik mulk ka insaan milega
Parcham e Abbas nigehbaan milega
Chaltey raho x2 Saath liye saara zamaana
2) Aao chalein parcham e Abbas uthaakar
Shehr e Najaf se chalein Karbobala mil kar
Sheh ke azadaron ka ho saath samandar
Kal mein badal jaayega hum sab ka muqaddar
Chaltey raho x2 Saath liye saara zamaana
3) Deney chalein pursa Hussain ibn e Ali ka
Noha parhein chal ke alamdaar e Jarri ka
Momino matam karey hum shakl e Nabi ka
Qasim o besheer ka pursa de sabhi ka
Chaltey raho x2 Saath liye saara zamaana
4) Shukr e Khuda Mola ke zawwaar baney hum
Aal e Muhammad ki tarafdaar baney hum
Haidar e Karrar ke hubdaar baney hum
Zehra ke bachon ke azadaar baney hum
Chaltey raho x2 Saath liye saara zamana
5) Maango dua un ki bhi poori ho duaaein
Detey hain Mola ko jo ro ro ke sadaaein
Mola merey jald unhe dar pe bulaayein
Kartey huwe matam e Shabbir wo aayein
Chaltey raho x2 Saath liye saara zamaana