Write-Up
Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

1. Hussain puri risaalat, bachaane waale hai
Hussain wada-e-tifli, nibhaane waale hai
Haa(n) asl-e-aayat-e-tatheer ka tarjuma hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

2. Badan hai teero(n) se chhalni, aur beet’ti hai qayamat
Wo teen din ke hai pyaase, Hai aab ki kasrat
Jo sehn kar raha har zulm aur jafa Hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

3. Hai yaad Khun mei dubi, jawaan ki mayyat
Banayi haatho(n) se Asghar, ki jisne thi turbat
Wo jiske dil mei hazaaro(n) haa(n) gham jama hai hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

4. Hussain ghazi ke laashe, pe aye dil thaame
Kaha wo roke na rutho, ay bhaayi jaa(n) mujhse
Nahi hai munis-o-yawar faqat bacha hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

5. Sawaar sine pe hai shimr, hai haath mei khanjar
Gale pe sheh ki wo zalim, Chalaata hai hass kar
Sada falak se ye aayi zibah huwa hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

6. Thi sham kaisi gharibo(n), pe jhal gaye khayme
Pukaari roke ye zainab, wo dasht mei aake
Na mere sar pe bhi saaya koi bacha hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

7. Ay Fatemah tere bête, ko ro rahe hai ham
Wo jispe abid-e-muztar, na kar saka matam
Zabaa(n) pe aaj hamaare faqat sada hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

8. Nahi misaal muhabbat, ki phir kabhi aisi
“Tejani” sheh ki zabaa(n) par, thi bas sana rab ki
Allah karta hai khud hi jinki sana hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain