Write-Up
Haay Sakina Haaye Pyaas



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Sukha Gala Sukhi Zubaan Sukhe Hue Lab Hain

Aram Ke Imkaan Us Nadaan Ko Kab Hain

Tishna Jigar Mazlum Hai Mazlum Ki Jaayi

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Zakhmi Lavein Zakhmi Gala Zakhmi Kaleja Hai

Shimre Laee(N) Ke Zulm Se Rukhsaar Neela Hai

Ashko(N) Ka Ik Darya Hai Jo Ankhon Se Hai Jari

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Soze Atash Se Haddiya(N) Jaise Sulagti Hain

Darde Jigar Barhta Hai To Aahein Nikalti Hain

Roti Hai Uski Pyaas Par Ammu Ki Saqaayi

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Ae Bibi Hum Nazrein Dilaate Hain Sabeelon Par

Aasu Bahate Rehte Hain Pyaase Shaheedon Par

Wo Tashnagi Kaisi Thi Jo Ab Tak Na Bujh Paayi

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Turbat Ke Ik Goshe Mei Wo Gham Se Tardapti Hai

Ammu O Baba Ko Bhi Wo Awaaz Deti Hai

Har Samt Jab Chhajaati Hai Raton Ko Khamoshee

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Ehle Sitam Ke Shehr Me Bali Sakina Hai

Ab Bhi Jahaa(N) Mahol Mei Wehshat O Keena Hai

Likhi Hai Is Masum Ki Qismat Mei Veeraani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Rawze Pe Is Ehsaas Se Phat Jaata Hai Seena

Is Jaa Pe Hi Nadaan Ko Dushwaar Tha Jeena

Wo Jaa(N) Balab Soze Atash Ko Seh Nahi Paayi

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Zulmo Sitam Ab Bhi Rava Hai Is Eelaqay Me

Har Soo Udasi Ki Fizaa Ha Is Eelaqay Me

Lagta Ha Ye Ke Aaj Bhi Qaidi Hai Shehzadi

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Ay Warisay Mashko Alam Aajaeay Mola

Taskeen Ka Saman Kuch Fermaeay Mola

Aajaeay Imdad Ko Hum Sub Hein Feryadi

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Lehje Me Tejani Ke Jo Gham Ka Ta-Aasur Hai

Ashkon Se Num Har Eik Ki Chashme Tasawwur Hai

Maqbool Ho Jaye Nigaar Apni Azadari

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi



Yaad Rakho Ae Momino Jab Bhi Piyo Paani

Shaam Mei Sakina Hai Aaj Bhi Pyaasi