Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai

Write-Up
Haye Sajjad
Abid ko jahan ghash aata hai, durron se jagaya jaata hai
Ik phool hai jis ko kaanton par x2 Din raat chalaaya jaata hai
Abid ko jahan ghash aata hai, durron se jagaya jaata hai
1) Abbas ki ghairat se aksar, Abid ki aseeri poochti hai x2
Kya chaar baras ki behna ko x2 Zindaa(n) mein sulaaya jaata hai
2) Saadaat ke khaime jaltey hain, sholon mein ghiri hai aal e Nabi x2
Phir aaj Nabi ki beti par x2 Darwaaza giraaya jaata hai
3) Reh reh ke shah e dee(n) dekhte hain, naize se Sakina ki jaanib x2
Lagta hai ke pusht e naaqa se x2 Bachi ko giraaya jaata hai
4) Bibi ko qareeb e Laash e jarri, durron ki azeeyat detey hain x2
Abbas ko tarpaane ke liye, Zainab ko sataaya jaata hai
5) Ghairat ke sabab jis Bibi ne, ghar mein bhi na dekha aayinaa x2
Be parda usse laane ke liye x2 Darbaar sajaaya jaata hai
6) Bin byaah ke Akbar maarey gaye, armaan na nikley Bano ke x2
Taaboot pe Akbar ke sehra x2 Kuch yun bhi charhaaya jaata hai
7) Wo nok e sina par ghairat se, rukta hi nahi gir jaata hai x2
Jab jab bhi sar e Abbas e jarri, naize pe charhaaya jaata hai
8) Pardey mein Bilal e Karbobala, roye na mera Mola kyu kar x2
Afsos ke turbat mein ab tak, Zahra ko rulaaya jaata hai
Abid ko jahaan ghash aata hai, durron se jagaaya jaata hai