Write-Up
Ghorey se girke jab Ali, Akbar ne di sada
Apni kamar ko thaam ke, Shabbir ne kaha
Karyal Jawaan ki laash, uthaane chaley hain hum
Seedhi ho ay kamar tujhey, Abbas ki qasam
Karyal jawaan ki laash, uthaane chaley hain hum
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
1) Yeh imtihaan zaeefi mein, mujhko nibhaana hai
Akbar ko lekey khaima e, Zainab mein jaana hai
Rastey mein lar kharaey na, Shabbir ke qadam
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
2) Ghurbat pe apni roya hai, khud ibn e Fatima
Gir gir ke tay kiya hai, maqtal ka faaslaa
Bus hum se door laash hai, Akbar ki do qadam
Seedhi ho ay kamar tujhey Abbas ki qasam
3) Raasha hai is qadar ke, laraztey hain merey haath
Haye laasha hai yeh Rasool ka, Akbar ke saath saath
Do laashey aik saath, uthaaenge kaisey hum
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
4) Is haal mein kahin mujhey, Zahra na dekhlein
Meri kaamr jhuki huwi, Baba na dekhlein
Aatey hi honge meri, madad ko shah e umam
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
5) Seene mein keh ke tori hai, zaalim ne yeh sina
Ab dekhna Hussain ki, niklegi kaisey jaan
Zaalim ko yeh bataana hai, ibn e Ali hai hum
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
6) Is haal mein khayaam mein, jaaonga kis tarhan
Zainab ki kaayinaat, uthaunga kis tarha
Zahra ka chaand Karbobala mein huwa hai khum
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
7) Amma ke saath milkey, sina maine khainchli
Haathon mein ab hamaarey ho, taaqat nahi rahi
Abbas kya gaey merey, baazu huwe qalam
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam
8) Baahein galey mein daaldi, Akbar ne jis ghari
Ibn e Ali ne rokey, Takallum sada yeh di
Saansein bachi hain ab merey, Akbar ke paas kum
Seedhi ho ay kamar, tujhey Abbas ki qasam